dur karne ko teri zulf ka KHam utrenge

dur karne ko teri zulf ka kham utrenge
aasmanon ke sitare koi dam utrenge

hausla aur zara hausla ai sang-ba-dast
waqt aaega to khud shakh se hum utrenge

ek ummid pe tamir kiya hai ghar ko
us ke aangan mein kabhi tere qadam utrenge

hamein likhna hai zamin walon ke gham ka nauha
aasmanon se kisi roz qalam utrenge

itni aahen na bharo ashk na sare bah jaen
tab-e-nazuk pe abhi aur bhi gham utrenge

jaise hum aankh mila kar tere dil mein aae
log is zina-e-dushwar se kam utrenge

shad-o-shadab usi waqt rahunga 'yasir'
sar-e-qirtas jab ashaar ke yam utrenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close