sawal tujh se shab-o-roz mera chalta raha jawab tera hawaon mein mujh ko milta raha falak pe chand sitaron ka karwan bhi bujha tumhaari yaad ka lekin charagh jalta raha qarib-e-marg jo dekha to pas koi na tha tamam umr ye phir kaun sath chalta raha bala ke habs mein sari zamin sukh gai magar ye pyar ka pauda tha phir bhi phalta raha main bewafa bhi kahun kis tarah tujhe jaanan tu ban ke baad-e-saba roz mujh se milta raha main e'tibar mohabbat ka teri kya karta bayan tera to har roz hi badalta raha rafu main karta bhi 'aijaz' kaise zakhmon ko zaban ka zakhm tha ye guftugu se silta raha