ranj jo dida-e-namnak mein dekha gaya hai ye faqat sina-e-sad-chaak mein dekha gaya hai is se aage hai miyan muntziron ki basti ek diya jalta hua taq mein dekha gaya hai ai junun us ki kahani bhi sunaunga tujhe ye jo paiwand mere chaak mein dekha gaya hai yani ek aankh abhi dhundhti phirti hai mujhe yani ek tir meri tak mein dekha gaya hai ek khwahish ka mere dil mein utarna 'ashfaq' ek sharara khas-o-khashak mein dekha gaya hai hijr aur dasht mein jo shakhs bhi thahra 'ashfaq' tajraba udti hui khak mein dekha gaya hai