sawan-rut aur udti purwa tere nam dhup-nagar se hai ye tohfa tere nam surkh gulab ke sare mausam tere liye khwabon ka har ek daricha tere nam chand ki aankhen phul ki khushbu bahti raat qurbat ka har ek wasila tere nam barf mein phaila sham dhundalka tere liye har ek subh ka pahla ujala tere nam hansti hui si teri aankhen mere liye bahti jhil mein phul kanwal ka tere nam teri yaad ka bahta dariya mere liye chahat ka ye tanha jazira tere nam duniya-bhar mein jitne manzar achchhe hain un ka husn aur shor hawa ka tere nam