tilism-e-ishq tha sab us ka sath hone tak khayal-e-dard na aaya najat hone tak mila tha hijr ke raste mein subh ki manind bichhad gaya tha musafir se raat hone tak ajib rang ye basti hai us ki nagri bhi har ek nahr ko dekha furaat hone tak wo is kamal se khela tha ishq ki bazi main apni fath samajhta tha mat hone tak hai istiara ghazal us se baat karne ka yahi wasila hai ab us se baat hone tak main us ko bhulna chahun to kya karun 'adil' jo mujh mein zinda hai khud meri zat hone tak