sawar-e-waqt hai wo faslon se aage hai

sawar-e-waqt hai wo faslon se aage hai
wo jangalon se pare paniyon se aage hai

hamare zer-e-nagin sirf shahr-e-ishq nahin
hamara hukm kai sarhadon se aage hai

tera khayal mere dil mein kaise ghar karta
tera khayal meri wahshaton se aage hai

baja ki sher mera zaiqe mein hai tikha
ye kaif-za hai nire qafiyon se aage hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close