tujh ko khud apne hi sae pe guman guzra hai tera wahshi tere kuche se kahan guzra hai jhilmilane lage fanus teri mahfil ke koi parwana magar shoala-ba-jaan guzra hai naghmagi nala-e-hijran main kahan se laun soz-e-dil saz-e-bahaaran se kahan guzra hai phul gulshan mein jigar-chaak nazar aate hain sarw ke sae pe zindan ka guman guzra hai gham ki jhankar mein shamil thi shikast-e-dil bhi mere nalon pe taghazzul ka guman guzra hai timtimate hue dekhe hain sitaron ke charagh kahkashan se abhi insan kahan guzra hai