saya agar nasib ho diwar-e-yar ka

saya agar nasib ho diwar-e-yar ka
kya martaba buland ho apne mazar ka

wo dasht-e-haulnak wo hubb-e-watan ka josh
phir phir ke dekhna wo kisi be-dayar ka

lau de rahi hai sham se aaj aah-e-atishin
shola bhadak raha hai dil-e-daghdar ka

taswir-e-naza dekhna chaho to dekh lo
rah rah ke jhilmilana charagh-e-mazar ka

par taulne lage phir asiran-e-bad-nasib
shayad qarib aa gaya mausam bahaar ka

mu-e-safed kanpte hath aur jam-e-mai
dikhla rahe hain rang khizan mein bahaar ka

angdaiyon ke sath kahin dam nikal na jae
aasan nahin hai ranj uthana khumar ka

saqi gira na dijiyo ye jam-e-akhiri
dil tut jaega kisi ummid-war ka

maston ki ruhen bhatkengi achchha nahin hai ab
ghir-ghir ke aana qabron par abr-e-bahaar ka

dekho to apne wahshiyon ki jama-zebiyan
allah re husn pairahan-e-tar-tar ka

jurm-e-guzishta afw kun o majra mapurs
mara hua hun is dil-e-be-ikhtiyar ka

duniya se 'yas' jaane ko ji chahta nahin
allah re husn gulshan-e-na-paedar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close