saya-e-zulf nahin shola-e-rukhsar nahin kya tere shahr mein sarmaya-e-didar nahin waqt pad jae to jaan se bhi guzar jaenge hum diwane hain mohabbat ke adakar nahin kya tere shahr ke insan hain patthar ki tarah koi naghma koi payal koi jhankar nahin kis liye apni khataon pe rahen sharminda hum khuda ke hain zamane ke gunahgar nahin surkh-ru ho ke nikalna to bahut mushkil hai dast-e-qatil mein yahan saz hai talwar nahin mol kya zakhm-e-dil-o-jaan ka milega 'kaamil' shakh-e-gul ka bhi yahan koi kharidar nahin