manzaron ki bhid aisi to kabhi dekhi na thi ganw achchha tha magar us mein koi ladki na thi ruh ke andar khala hai ye mujhe malum tha khokhla hai jism bhi is ki khabar pahunchi na thi hath thama hai sada ke waste waise magar sath us ka chhodne mein kuchh burai bhi na thi un dinon bhi dard ka saya mere ham-rah tha jab dhuan ban kar wo mere zehn par chhai na thi jazb ho jaane ka qissa khud se bhi mansub kar bhul meri thi agar tu bhi koi dewi na thi rang pakka ho chala tha yaad aata hai magar dhup mere jism par tab thik se bhigi na thi khwahishon ka wo jazira bhi to aakhir bah gaya khauf-o-khatra ki jahan par koi aabaadi na thi