saya kiye hue tha jo baadal nahin raha aafat ka ye mehr magar dhal nahin raha sar par thi us ki chhanw to maujud the hawas pagla gae hain hum ki wo aanchal nahin raha jiwan ki shahrah ko raushan kiye hue ek hi to qumquma tha jo ab jal nahin raha ek khub-ru parinda badi dur ja basa ab khwahishon ka bagh mukammal nahin raha thahre hue the hum to chale ja raha tha waqt jab sath chal diye hain to ab chal nahin raha dekha to us taraf koi maujud hi na tha jab darmiyan khauf ka daldal nahin raha mere takhaiyyulat ne jadu sa kar diya wo samne na ho ke bhi ojhal nahin raha