sari duniya ganwa ke baitha hun apni duniya bana ke baitha hun umr bhar ki thakan ho gai hai ek lamha bita ke baitha hun tuta pata hun aur ye sochta hun kis se daman chhuda ke baitha hun kya khabar koi rang bhar hi de chand khake bana ke baitha hun ek bhatka hua parinda hun dal par sar jhuka ke baitha hun koi aaega to jala dega dil ki batti bujha ke baitha hun ab koi aur khel pesh karo zindagi aazma ke baitha hun