saya nahin hai sar pe koi aasman nahin

saya nahin hai sar pe koi aasman nahin
apne liye zamin pe bhi koi makan nahin

andar se hum alaw hain zakhmon ka dard ka
bahar dikhai deta kisi ko dhuan nahin

khamosh fitratan hain ki kuchh bolte nahin
yaron ne samjha munh mein hamare zaban nahin

ai waqt tere makr se waqif to hain sabhi
lekin meri wafa pe kisi ko guman nahin

mashhur apne fan mein hue dur dur tak
'shaghil' adib shohra hamara kahan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close