ye haal hai mere dil ka teri nazar ke qarib

ye haal hai mere dil ka teri nazar ke qarib
ho jis tarah se nasheman koi sharar ke qarib

ziya hai dil ke sulagne ki baam-o-dar ke qarib
shab-e-firaq khinch aai hai ya sahar ke qarib

mahakte zakhm idhar hain dil-o-jigar ke qarib
udhar gulab hai baalin pe zulf-o-sar ke qarib

hai dhup gardish-e-dauran ki tez kuchh aisi
ki apna saya bhi aata nahin hai dar ke qarib

use kahin lab-o-rukhsar mil ke lut na len
hayat aai hai kyon shabnam-o-sharar ke qarib

hinai hath uthe the salam karne ko
hai aanch un ki hamare dil-o-jigar ke qarib

gali gali mein wo phirta hai aaj aawara
kabhi jo aa ke basa tha tumhaare ghar ke qarib

na jaane kab koi is rahguzar pe aa nikle
jalae baithe hain ek shama rahguzar ke qarib

koi to baat hai bigde hue jo tewar hain
kahan se aa gae patthar ye shishagar ke qarib

wo hum nahin ki jo bhagen bahaar ke pichhe
bahaar aati hai chal kar hamare ghar ke qarib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close