saya qadam qadam pe hai har raushni ke sath subhen chhupi hain parde mein har tirgi ke sath aasan kar di tere tasawwur ne manzilen guzre rah-e-hayat se hum be-khudi ke sath sajde dil-o-nazar ke to har ja bikhar gae dair-o-haram ka kaam hi kya bandagi ke sath ek dard tha ki bazm se le kar teri chale dil yan ki wan luta ke chale hum khushi ke sath teri nigah-e-naz ke qurban jaiye lapka hai dil mein shoala magar dilkashi ke sath teri talab mein dar-o-rasan se guzar gae khela hai hum ne khel koi zindagi ke sath saghar mein apni aankhon ki masti bhi ghol de mai bhi do-atishan ho teri dilbari ke sath fitne se kam nahin hai bigadna tera magar nikhra hai husn aur bhi kuchh barhami ke sath apna bana ke yun mujhe chhoda hai rah mein do-gam jaise koi chale ajnabi ke sath ai shikwa-sanj tera hi daman nahin wasia kya neamaten 'habib' milin zindagi ke sath