saz-e-ulfat hai mere saz-e-jigar hone tak

saz-e-ulfat hai mere saz-e-jigar hone tak
husn dilkash hai mere zauq-e-nazar hone tak

azm-e-insan ne sitaron pe kamanden dalin
manzilen dur hain sargarm-e-safar hone tak

barha nanha sa dil khun hua zer-e-falak
ghunche par guzri hai kya kya gul-e-tar hone tak

rifaten kaun si hai chhu na sake jin ko khayal
had-e-parwaz hai takhil ke par hone tak

zindagi talkh haqiqat hai ki ek khwab-e-hasin
kaun samjha hai ise umr basar hone tak

kar gai tujh ko pareshan meri aashufta-sari
ye yaqin tha na teri aankh ke tar hone tak

hum sar-e-sham jalate hain tasawwur ke charagh
kaun dekhega teri rah sahar hone tak

tere wade kabhi sharminda-e-ifa na hue
warna jita tere aane ki khabar hone tak

wada be-kaif hai be-rang hai gulzar 'habib'
dil hai suna sa teri lutf-e-nazar hone tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close