sayyal tasawwur hai ubalne ki tarah ka ek aks se sau aks mein dhalne ki tarah ka ab saneha-e-hijr-e-musalsal ka maza bhi hai aatish-e-takhliq mein jalne ki tarah ka sab qaid hua jata hai tangnae-ghazal mein manzar pas-e-manzar hai badalne ki tarah ka apni hi tarah ka hai qadam rah-e-talab mein girne ki tarah ka na sambhalne ki tarah ka samjho ki qarib aa gai irfan ki manzil jine mein maza aae jo marne ki tarah ka ye soch ke main gosha-e-dil wa nahin karta us shokh ka milna hai bichhadne ki tarah ka kuchh aaise hi mausam mein use aana tha shayad hai mausam-e-dil phulne-phalne ki tarah ka ye soch ke mein gosha-e-dil wa nahin karta us shokh ka milna hai bichhadne ki tarah ka kuchh aaise hi mausam mein use aana tha shayad hai mausam-e-dil phulne-phalne ki tarah ka