phir mujhe likhna jo wasf-e-ru-e-jaanan ho gaya wajib is ja par qalam ko sar jhukana ho gaya sar-kashi itni nahin zalim hai o zulf-e-siyah bas ki tarik apni aankhon mein zamana ho gaya dhyan aaya jis ghadi us ke dahan-e-tang ka ho gaya dam band mushkil lab hilana ho gaya ai azal jaldi rihai de na bas takhir kar khana-e-tan bhi mujhe ab qaid-khana ho gaya aaj tak aaina-wash hairan hai is fikr mein kab yahan aaya sikandar kab rawana ho gaya daulat-e-duniya na kaam aaegi kuchh bhi baad-e-marg hai zamin mein khak qarun ka khazana ho gaya baat karne mein jo lab us ke hue zer-o-zabar ek saat mein tah-o-baala zamana ho gaya dekh li raftar us gul ki chaman mein kya saba sarw ko mushkil qadam aage badhana ho gaya jaan di aakhir qafas mein andalib-e-zar ne muzhda hai sayyaad viran aashiyana ho gaya zinda kar deta hai ek dam mein ye isa-e-nafas khel is ko goya murde ko jilana ho gaya tausan-e-umr-e-rawan dam bhar nahin rukta 'rasa' har nafas goya usi ka taziyana ho gaya