saz bane un ashkon se jo bahte hain tanhai mein sadiyon ki mahrumi ro ro gati hai shahnai mein jitne halke log the wo sab tair gae us par hue ek hamein the dub gae jo apni hi gahrai mein apna badan sota rahta hai bistar par lekin aksar raat gae tahla karta hai kaun mari angnai mein dil hai kis ka jaan hai kisi ki aur kis ki hai ye nazar kitna bikhra-pan pinhan hai ek mari yakjai mein zulm ki shiddat khud apni hi maut ka bais banti hai jit ki surat dekh rahe hain hum apni paspai mein