saz-e-dil saz-e-junun saz-e-wafa kuchh bhi nahin wo na hon pas to jine ka maza kuchh bhi nahin jine walon ke liye is ki badi qimat hai marne walon ke liye aab-e-baqa kuchh bhi nahin maslahat kahti hai logon se ki mere ghar mein is tarah aag lagi hai ki jala kuchh bhi nahin un ke hathon mein hai taqdir jahan diwane tere hathon mein lakiron ke siwa kuchh bhi nahin be-khata aise bhi dekhe hain jahan mein tum ne hai khata jin ka ye kahna ki khata kuchh bhi nahin jab se majruh hui lazzat-e-ehsas-e-alam dard mein gham mein tadapne mein maza kuchh bhi nahin kya bataen ki gham-e-dil ke alawa 'shahid' hum ko is shahr-e-nigaran se mila kuchh bhi nahin