chal nikalti hain gham-e-yar se baaten kya kya hum ne bhi kin dar-o-diwar se baaten kya kya baat ban aai hai phir se ki mere bare mein us ne puchhin mere gham-khwar se baaten kya kya log lab-basta agar hon to nikal aati hain chup ke pairaya-e-izhaar se baaten kya kya kisi saudai ka qissa kisi harjai ki baat log le aate hain bazar se baaten kya kya hum ne bhi dast-shanasi ke bahane ki hain hath mein hath liye pyar se baaten kya kya kis ko bikna tha magar khush hain ki is hile se ho gain apne kharidar se baaten kya kya hum hain khamosh ki majbur-e-mohabbat the 'faraaz' warna mansub hain sarkar se baaten kya kya