saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai ek zamana hama-tan-gosh nazar aata hai hasrat-e-jalwa-e-didar ho puri kyunkar wo tasawwur mein bhi ru-posh nazar aata hai dekhte jao zara shahr-e-khamoshan ka saman ki zamana yahan khamosh nazar aata hai aap ke nashtar-e-mizhgan ko chubho leta hun khun-e-dil mein jo kabhi josh nazar aata hai aap hi sirf jafa-kosh nazar aate hain sara aalam to wafa-kosh nazar aata hai mausam-e-gul na raha dil na raha ji na raha phir bhi wahshat ka wahi josh nazar aata hai shana-e-yar pe bikhri to nahin zulf-e-daraaz har koi khanuman bar-dosh nazar aata hai jalwa-e-qudrat-e-bari ka muamma na khula ru-ba-ru rah ke bhi ru-posh nazar aata hai phir zara khanjar-e-qatil ko khabar de koi khun-e-'bismil' mein wahi josh nazar aata hai