deta hai mujh ko charkh-e-kuhan bar bar dagh uf ek mera sina hai us par hazar dagh dete hain mere sine mein kya hi bahaar dagh khae na un ko dekh ke kyun lala-zar dagh lala karega dil ki mere kya barabari us par hai ek dagh yahan be-shumar dagh duniya ke sare sadme hain kam hijr-e-yar se de muddai ko bhi na ye parwardigar dagh rakhta hai ishq-e-lala-rukhan dil mein wo nihan sine pe mahtab ke hai aashkar dagh zulmat se di najat dil-e-daghdar ne raushan misal-e-shama hai zer-e-mazar dagh har dam na kyun lagae rakhen sine se use ek mah-ru ke ishq ki hai yaadgar dagh qatil mere lahu ne bhi kya gul khilae hain daman pe tere dete hain kya hi bahaar dagh jo zulm chahe rakh dil-e-'ranjur' par rawa de tu magar use na judai ka yar dagh