saz mein soz jab nahin aata lutf-e-bazm-e-tarab nahin aata hum ko apni khabar nahin hoti wo to aane ko kab nahin aata aql mein lafz-e-ishq ka mafhum kuchh to aata hai sab nahin aata hosh aane ki baat itni hai jab wo aata hai tab nahin aata us ko ulfat ki baat par ghussa pahle aata tha ab nahin aata ho na ho bhar raha hai zakhm-e-jigar rang ashkon mein ab nahin aata dil lahu jab talak na ho 'akhgar' rang-e-husn-e-talab nahin aata