shikasta dil kisi ka ho hum apna dil samajhte hain tere gham mein zamane bhar ke gham shamil samajhte hain hui hain is qadar aasaniyon se mushkilen paida har aasani ko hum apni jagah mushkil samajhte hain wo khud dekhe magar us ko koi na dekhne pae tera andaz hum ai parda-e-hail samajhte hain kisi ka hath zakhmon par kisi ka hath gardan mein masiha kaun hai aur kaun hai qatil samajhte hain had-e-dil se to bahar dard tera ho nahin sakta jahan tak dard hai tera wahan tak dil samajhte hain majal-e-did ki mohlat na den lekin ye kya kam hai wo hum ko apni bazm-e-naz ke qabil samajhte hain tayyun husn-e-maqsad ka nahin is ke siwa koi thahar jaen jahan hum bas use manzil samajhte hain kahan tak hum musalsal rukh badalte jaen kashti ka wahi tufan nikalta hai jise sahil samajhte hain unhen fursat kahan ye bhi ghanimat jaaniye 'akhgar' ki wo dil ko kisi tazir ke qabil samajhte hain