sazish mein mere qatl ki wo mubtala to hai

sazish mein mere qatl ki wo mubtala to hai
mujh ko khushi ye hai wo mujhe sochta to hai

achchha nahin bura hi sahi manta to hai
us ke takhaiyyulat mein meri jagah to hai

iqbaal mal aish hukumat nahin rahi
lekin hamare pas hamari ana to hai

qisson kahaniyon mein kitabon mein hi sahi
ab bhi hamari duniya mein baqi wafa to hai

aankhon ko hi shuur-e-samaat nahin raha
warna har ek chehra yahan bolta to hai

do-chaar jis se hota hai shair chhupae lakh
wo karb shaeri se kahin jhankta to hai

chahi thi jitni dad nahin di to kya hua
lekin 'saadat' aap ne mujh ko suna to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close