is tarah duniya ke dil mein ghar bana apni tarz-e-guftugu behtar bana soch se hai irtiqai inqalab soch ko apni na tu patthar bana jis ke gird-o-pesh ghume kaenat ho sake to khud ko wo mehwar bana raushni jitni banai aap ne ye andhera aur taqat-war bana har taraf kar-e-hifazat dekh kar aur bhi shiddat se dil mein dar bana tilmila uthen sabhi soe zamir aise kuchh hassas-tar nashtar bana mashq ki hai kitne shishe tod kar tab 'saadat' ek shishagar bana