sehat achchhi na ho to zulf-e-niswani se bachna fishaar-e-khun ke hamle mein namak-dani se bachna na ho income to bachchon ki farawani se bachna gharibi mein farogh-e-nasl-e-insani se bachna bahut mushkil hai begam ki nigahbani se bachna samundar mein bhi rahna aur tughyani se bachna guzishta ahd mein dhoka bahut khaya hai tum ne magar is bar 'zardari' o 'gilani' se bachna khuda tum ko wazir-e-bijli-o-pani bana de to phir tum sarafin-e-bijli-o-pani se bachna khuda ke ghar mein wisa-card ka system nahin hai credit-card ke bakre ki qurbani se bachna tumhein lahore ke footpath ka permit mila hai lihaza rae-wind ke qasr-e-sultani se bachna tumhein ai 'khalid'-e-irfan mera mashwara hai ghazal kahna magar har ja ghazal-khwani se bachna