sehr kaisa ye nai rut ne kiya dharti par muddaton baad koi phul khila dharti par jaane is kurra-e-tarik mein hai nur kahan jaane kis aankh mein hai khwab tera dharti par aasmanon se khamoshi bhi kabhi nazil kar roz karte ho naya hashr bapa dharti par aasmanon mein ulajhte ho siyah abr se kyun aa faqiron ki tarah khak uda dharti par ab bhi hilta hai mera nakhl-e-badan sar-ta-pa ab bhi chalti hai hawasnak hawa dharti par koi aawaz kahin se bhi nahin aati hai qaf-ta-qaf hai kaisa ye khala dharti par ab bhi wabasta hain ummiden tumhin se hum ko ab bhi hoti hai teri hamd o sana dharti par hijr ki zard hawa yunhi agar chalti rahe ek bhi ped rahega na hara dharti par