shaal chhoti hi sahi rakh lo badi thik nahin tum pe nikhregi bahut ghar mein padi thik nahin main ne puchha hai ki chae ke liye waqt koi hans ke boli hai ishaare se ghadi thik nahin ek tamasha hai wo meri hai nahin meri hai ye jo khidki mein hai doshiza khadi thik nahin is mohalle mein agar sanp dase behtar hai log kahte hain yahan aankh ladi thik nahin jab bhi maktab mein mujhe mar pade wo bole ab to resham ho ye shisham ki chhadi thik nahin aisi barish ho to 'rahib' mujhe dar lagta hai wo bhi barish mein ye kahti thi jhadi thik nahin