ye garm ret ye sahra nibha ke chalna hai safar tawil hai pani bacha ke chalna hai bas is khayal se ghabra ke chhat gae sab log ye shart thi ki qataren bana ke chalna hai wo aae aur zamin raund kar chale bhi gae hamein bhi apna khasara bhula ke chalna hai kuchh aise farz bhi zimme hain zimme-daron par jinhen hamare dilon ko dukha ke chalna hai shanasa zehnon pe tane asar nahin karte tu ajnabi hai tujhe zahr kha ke chalna hai wo dida-war ho ki shaer ki maskhara koi yahan sabhi ko tamasha dikha ke chalna hai wo apne husn ki khairaat dene wale hain tamam jism ko kasa bana ke chalna hai