shab dhale gumbad-e-asrar mein aa jata hai ek saya dar-o-diwar mein aa jata hai main abhi ek hawale se use dekhta hun dafatan wo nae kirdar mein aa jata hai yun shab-e-hijr shab-e-wasl mein dhal jati hai koi mujh sa meri guftar mein aa jata hai mujh sa diwana koi hai jo tere nam ke sath raqs karta hua bazar mein aa jata hai jab wo karta hai nae dhab se meri baat ko radd lutf kuchh aur bhi guftar mein aa jata hai dekhna us ko bhi padta hai miyan duniya mein samne jo yunhi be-kar mein aa jata hai ek din qais se ja milta hai wahshat ke tufail jo bhi is dasht-e-sukhan-zar mein aa jata hai main kabhi khud ko agar dhundhna chahun 'ahmad' dusra mariz-e-izhaar mein aa jata hai