dur tak bas khun ke thahre hue dariya mile muddaton jagi hui aankhon ko dekha ro pade ehtiraman zindagi ko munh lagana hi pada warna hum aur zindagi ka zahr tauba kijiye apne kandhon par liye apni kai shakhsiyyaten raat bhar aankhon ke jangal mein bhatakte hi rahe chikhte chillate andeshon ki aankhen surkh hain jism ki na-pukhta sadkon se guzarna chhodiye khun ke dhabbon ki sachchai daraati hi rahi apne bare mein kabhi socha to ghabrane lage tute phute kale shabdon ke bhare bazar mein is qadar khud ko ghumaya hai ki kale pad gae