shab-e-alam jo teri yaad ke charagh jale

shab-e-alam jo teri yaad ke charagh jale
hum apne aap se ta-der roe mil ke gale

tamam lutf tha aazadiyon se wabasta
ab is ke ba'd nasheman hazar bar jale

idhar hai manzil-e-jaanan udhar hain dar-o-rasan
gham-e-hayat bata ab koi kidhar ko chale

ab aur jaane gham-e-ishq kya dukhaega
kisi ne nam liya us ka aur ashk dhale

qadam qadam pe hain kante qadam qadam pe sharar
rah-e-wafa mein zara aadmi sanbhal ke chale

hamara jazba-e-tamir mit nahin sakta
chaman mein apna nasheman hazar bar chale

nishan us ka mitaega kya koi 'shaariq'
qadam-qadam pe jo naqsh-e-wafa bana ke chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close