sari duniya jab gham-e-dauran se ghabra jae hai

sari duniya jab gham-e-dauran se ghabra jae hai
aap ka diwana to us dam bhi hansta jae hai

ek ghadi aisi bhi aati hai tasawwur mein tere
jab khud apne ji se tera haal puchha jae hai

puchhte kya ho dil-e-gham-ashna ke hausle
ye safina wo hai jo tufan se takra jae hai

zist ka anjam kya hai gardish-e-dauran hai kya
hath mein ho jam to ye kis se socha jae hai

bas hi kya hai apna 'shaariq' fitrat-e-mukhtar par
jo dikhaya ja raha hai hum ko dekha jae hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close