shab-e-firaq hai aur hum bhi gham ke mare hain tumhaare khwab hi tanhai ke sahaare hain har ek khayal mera aansuon mein dhalta hai ye gesu phir bhi teri yaad mein sanware hain wo dur rah ke bhi sanson se bhi qarib rahe bahut ajib hai ab tak wo hum ko pyare hain hayat ab to yahi sochti guzarti hai tumhaari tarah se kya hum bhi tum ko pyare hain main un ko bhulna chahun to kis tarah bhulun mere nasib ke tute hue sitare hain gila nahin hai kisi se jafa ka phir bhi 'ghazal' koi batae to kya ab bhi wo hamare hain