tum jaan-e-arzu ho nashat-e-KHayal ho

tum jaan-e-arzu ho nashat-e-khayal ho
kya dun bhala misal ki tum be-misal ho

dekha hai jab se tum ko ajab haal hai mera
lagta hai jaise tum hi mere ham-khayal ho

milne ki aarzu mein kabhi is tarah milen
duniya kare juda to bichhadna muhaal ho

laen kahan se jurat-e-izhaar-e-muddaa
aise mein jabki apni hi haalat nidhaal ho

main phir rahi hun sae ke pichhe ye soch kar
shayad ki is tarah se tabiat bahaal ho

khud ko 'ghazal' akeli samajhti ho kis liye
ye kaun jaane tum bhi kisi ka khayal ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close