shab-e-firaq jo dil mein khayal-e-yar raha pas-e-fana bhi tasawwur mein intizar raha uda rahe hain meri khak ko wo thokar se ilahi mujh se to achchha mera ghubar raha nazar milate hi hathon se dil chala mera kisi ko dekh ke dil par na ikhtiyar raha kisi ki nargis-e-mastana phir gai jab se na wo surur na aankhon mein wo khumar raha shab-e-firaq ki tanhai mein tha kaun anis khayal-e-yar hi ek apna gham-gusar raha wafa nahin to nahin murid-e-jafa hi sahi hazar shukr ki main dakhil-e-shumar raha ye dore dale hain kis chashm-e-mast ne ai 'naz' ki hashr tak meri aankhon mein ek khumar raha