ye sahra-e-talab ya besha-e-ashufta-haali hai koi daryuza-gar apna koi tera sawali hai hawadis se nabard-araiyon ka kis ko yara tha junun apna salamat jis ne har uftad tali hai tere aghmaz ki khu sikh li ahl-e-murawwat ne ki mahfil dard ki ab sahab-e-mahfil se khali hai huzuri ho ki mahjuri mohabbat kam nahin us se tab apna bakht-e-ali tha ab apna zarf-e-ali hai numu ka josh kuchh nazzara-farma ho to ho warna bahaar ab ke baras khud paimal-e-khushk-sali hai kisi ke lutf-e-kam ko der lagti hai siwa hote chatakne tak to har gul ki jibillat infiali hai sharaf itna ki 'ghaalib' ki zamin mein hai ghazal 'gauhar' wo mazmun-afrini hai na wo nazuk-khayali hai