shab-e-firaq ke bare mein aur kya kahiye

shab-e-firaq ke bare mein aur kya kahiye
kisi faqir ki maqbul baddua kahiye

har ek shakhs hai apni hi zat mein gum-sum
koi batae kise kis ka mubtala kahiye

is e'tiqad ke sadqe na kyon bhala jaen
jo shakhs but bhi nahin hai use khuda kahiye

ajal ki samt sabhi log hain rawan yani
use bhi zindagi ka koi rasta kahiye

kisi ka aks-e-haqiqi nahin dikhata hai
is aaine ko bhala kaise aaina kahiye

main apne taur se karta hun baat dil ki 'khizar'
ada-e-ghair se kya dil ka muddaa kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close