ye hadsa bhi dekh jo mujh pe guzar gaya fasl-e-bahaar aai to dil ka shajar gaya aisa hua sitam ki kahin ke nahin rahe aisa hua karam ki mohabbat ka dar gaya gar dekhna hai moajiza parwaz ka tujhe us ko faza mein dekh jo be-baal-o-par gaya matam karun na kis liye main aise shakhs ka manzil to mil gai jise zauq-e-safar gaya ubhre baghair chand bhi ab ke hua ghurub yani nasha chadha bhi nahin aur utar gaya pyase ke pas kab bhala pani gaya kabhi baadal ye kah ke pyase ke sar se guzar gaya ab maut ka bhi koi taqaza na ho 'khizar' har shakhs zindagi ke taqazon se mar gaya