shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya to ek zamana tera muntazir nazar aaya tamam-umr ki sahra-nawardiyon ke baad tera maqam sar-e-gard-e-rahguzar aaya ye kaun aabla-pa is taraf se guzra hai nuqush-e-pa mein jo phulon ke rang bhar aaya kise majal ki nazzara-e-jamal kare is anjuman mein jo aaya ba-chashm-e-tar aaya teri talab ke ghane jangalon mein aag lagi mere khayal mein jab wahm-e-rahguzar aaya simat gaya meri bahon mein jab wo paikar-e-rang to is ka rang mujhe dur tak nazar aaya is aarizon mein ki zid kibriya ki puri ho 'nadim' khak pe aflak se utar aaya