yun badi der se paimana liye baitha hun koi dekhe to ye samjhe ki piye baitha hun aakhiri naw na aai to kahan jaunga sham se par utarne ke liye baitha hun mujh ko malum hai sach zahr lage hai sab ko bol sakta hun magar hont siye baitha hun log bhi ab mere darwaze pe kam aate hain main bhi kuchh soch ke zanjir diye baitha hun zindagi bhar ke liye ruth ke jaane wale main abhi tak teri taswir liye baitha hun kam se kam ret se aankhen to bachengi 'qaisar' main hawaon ki taraf pith kiye baitha hun