shab-e-firaq mein jazbaat yun pareshan hain faza-e-dasht mein jaise ghubar ka aalam chaman-parast hun main meri zindagi hai yahi khizan ke daur mein bhi hai bahaar ka aalam main apna hath badhate hue bhi darta hun gul-e-shagufta mein pinhan hai khar ka aalam ye daur wo hai ki yaksan hai sab ki nazron mein gham-e-habib o gham-e-intizar ka aalam khayal-e-yar qayamat se kam nahin 'shabbir' mita raha hai mujhe intizar ka aalam