tere kya apne bhi kuchh kaam na aae hum log kuchh na kuchh tu ne banana tha banae hum log kohsaron pe qadam rakh ke ye phal toda hai ijz mitti se utha kar nahin lae hum log phir palat aaenge tasbih ke danon ki tarah dast-e-duniya teri poron se girae hum log khinch kar lae hain dar se tere mujrim ki tarah dil ko baaton mein laga kar nahin lae hum log bais-e-sharm hai ai dost numud-e-girya ponchh kar ashk tere khwab mein aae hum log