shab-e-furqat ki tanhai ka lamha kai raaz-e-nihani kholta hai bahut din se wo na-manus lahja mere dasht-e-ana mein gunjta hai meri pahchan rishte mera maqsad sada sargoshiyon mein puchhta hai main sargardan hun us ki justuju mein wo kahta hai ki mujh ko dhundta hai hai us se khul ke milna ab zaruri pas-e-parda jo mujh ko dekhta hai