zaban pe aane se pahle kahi gai hun main kisi khayal mein kho kar buni gai hun main mere khayal ki dahliz itni unchi hai ki aasman ke barabar chuni gai hun main mera ghurur meri wahshaton pe hawi hai kuchh aise wasf se mumtaz ki gai hun main mere wajud mein pahron sukut rahta hai na jaane kis ki sada mein gundhi gai hun main mere khayal se jal jate hain charagh-e-sahar ki taq-e-shams-o-qamar par rakhi gai hun main wo roz khwab ke rauzan se dekhta hai mujhe ajib dor hai jis se bandhi gai hun main sabhi ke dil mein 'diya' pyar ka jalati hun waraq waraq pe ujala likhi gai hun main