shab-e-furqat mein yar-e-jaani ki dard-e-pahlu ne mehrbani ki munh dikhao bahut rahi takrar arini aur lan-tarani ki jis ko kahte hain chaudhwin ka chand teri taswir hai jawani ki kamar-e-yar ho gai ghaeb sun ke dhum apni na-tawani ki surat-e-haal par hamare mohr dagh ne zakhm ne nishani ki sair-e-neamat se do jahan ki kya de ke shabnam ko bund pani ki ho gaya ishq husn se nagah puchhte kya ho na-gahani ki dil-birishta hua jo misl-e-kabab main ne turkon ki mehmani ki lab-e-jaan-bakhsh ke qarib wo khat sharh hai matn-e-zindagani ki gosh-zad hote hi hui dushman nind teri meri kahani ki khinchte us ghazal ki surat chaukdi bhulti hai 'mani' ki mujh ko bithla ke yar sota hai aashiqi ki ki pasbani ki rah gaya shauq-e-manzil-e-maqsud pa-e-khufta ne sargirani ki misl-e-shabnam hun saf-dil qane mujh ko dariya hai bund pani ki barq chamki to sarfaraaz kiya abr aaya to mehrbani ki rahat-e-marg ko na puchh 'atish' na rahi qadr zindagani ki