shab-e-wasl thi chandni ka saman tha baghal mein sanam tha khuda mehrban tha mubarak shab-e-qadr se bhi wo shab thi sahar tak mah o mushtari ka qiran tha wo shab thi ki thi raushni jis mein din ki zamin par se ek nur ta aasman tha nikale the do chand us ne muqabil wo shab subh-e-jannat ka jis par guman tha urusi ki shab ki halawat thi hasil farh-nak thi ruh dil shadman tha mushahid jamal-e-pari ki thi aankhen makan-e-visal ek tilismi makan tha huzuri nigahon ko didar se thi khula tha wo parda ki jo darmiyan tha kiya tha use bosa-bazi ne paida kamar ki tarah se jo ghaeb dahan tha haqiqat dikhata tha ishq-e-majazi nihan jis ko samjhe hue the ayan tha bayan khwab ki tarah jo kar raha hai ye qissa hai jab ka ki 'atish' jawan tha