shab-e-hijran ko bhagane ki dua kaunsi hai nahin talti kisi surat ye bala kaunsi hai zahr dene mein jhijak kyon hai tujhe chaaragar dusri aur mere dukh ki dawa kaunsi hai dil hi dil mein jo hansa karte ho chupke chupke baat main bhi to sunun aisi bhala kaunsi hai meri aankhon mein hai saqi ki jawani ka nasha mujh se puchho ki mai-e-hosh-ruba kaunsi hai main saza-war-e-mohabbat hun mita de mujh ko kuchh khata teri bhi nikle to saza kaunsi hai aaj-kal mujh se khafa rahte hain ghairon se khush mere bare mein khuda jaane hawa kaunsi hai 'khizr' ne rah bata di mujhe but-khane ki puchha tha manzil-e-irfan-e-khuda kaunsi hai